*Kuch nahi milta*
*Kisi **ki aankh sey sapney chura kar kuch nahi milta*
*Mandiron sey chiragon ko bujha kar kuch nahi milta*
*
*
*Koi aik aadh sapna ho to phir accha bhi lagta hay*
*Hazaron khuwab ankhon main saja kar kuch nahi milta*
*
*
*Yeh accha hay Kay aapas Kay bharam na tootne payein*
*Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta *
*
*
*Amal ki sookhti rag main zara as khoon shamil kar*
*Mere humdam faqat batein bana kar kuch nahi milta*
*Mujhey aksar sitaron sey yeh awaz aati hay*
*Kisi Kay hijar main neendein ganwa kar kuch nahi milta *
*
*
*Jiggar ho jayega chalni yeh ankhein khoon say royengi*
*Ae dil Befaiz logon sey nibah kar kuch nahi*milta
Wednesday, November 7, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment