Wednesday, July 18, 2007

Poetry Area (Usne Kaha)

Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai



Usne kaha Mujh se kitna Pyaar hai
Maine kaha Sitaron ka koi Shumaar hai
Usne kaha kon Tumhein hai boht Aziz
Mai NE kaha Dil pe Jise Ikhtiyar hai

Usne kaha konsa Tohfa hai pasand?
Mai NE kaha Wo Shaama Jo AB tak Udhaar hai
Usane kaha sath kahan tak Nibhao GE?
Mai NE kaha jitni ye Saanson ki Taar hai
Usne kaha Mujh ko Yaqeen aaye kis tarah?
Mai NE kaha Mera Naam hi Aitbaar hai
************ *

No comments: